Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: ~*shery {khamosh}*~

    Aa kay Ek Bar Meray Mann Main Sama kay Daikh,
    Tofano Kay Rukh Pe Koi Diya Jala Kay Daikh,

    Hosla Rakhty Hain Hum Tum Pe Fida Hone Ka,
    Tu kabhi Pyar Sy Teer-e-Nazar Chala Kay Daikh,

    Manzil Qareeb Ayegi Khud Chal Kay Teray Pass,
    Ulfat ki Raah Main Qadam Pehla Barha Kay Daikh,

    Hoti Hain Kiya Hasratein Yeh Tab Pata Chalyga,
    Jafaaon kay Dais Main Rasm-e-wafa Nibha Kay Daikh,

    Kitni Suhaani Hoti Hai Ye Dil Ki Anjuman,
    Apni Palkon Pe Kisi Kay Khowab Saja K Daikh..



    ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

    Comment


    • #47
      Re: ~*shery {khamosh}*~

      Ek Rog Laga Hah Dil Ko Jo,
      Bechain Bohat Hi Rakhta Hai,

      Ek Shakhs Hai Ujla Ujla Sa,
      Ab Sath Wo Har Pal Rehta Hai,

      Kab Uss Se Juda Hum Hote Hein,
      Wo saans Mein Apni Basta Hai,

      Wo Shakhs Jo Apna Ho Jaye,
      Phir Chahey Duniya Kho Jaye,

      Wo Shakhs Jo Jaan Se Pyara Hai,
      "Koi Keh De Sirf Humara Hai...!



      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • #48
        Re: ~*shery {khamosh}*~

        Ye Qaid Sikha Daiti Hai Aadaab-E-Mohabat,

        Pinjre Mein Parinde Bhi Shararat Nahi Karte,

        Wo Kon Hain Kis Waaste Is Dr Pe Parey Hain,

        Deewane To Kabhi Dasht Se Hijrat Nahi Karte,

        Mitt Jaate Hain Duniya Se Wo Log B "IzHaaR",

        Jo Log Faqiron Se Mohabat Nahi Karte...!!



        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • #49
          Re: ~*shery {khamosh}*~

          Wo mujse meri udasion ki waja pochti hai,
          kitni pagal hai raat K sanatay ki waja pochti hai,

          Wo mujse mere aansuon ki waja pochti hai,
          Kitni pagal hai barish K barasnay ki waja pochti hai,

          Wo mujse meri WAFA ki intaha pochti hai,
          Kitni pagal hai SAHIL pe khare SAMANDER ki gehrai pochti hai.



          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • #50
            Re: ~*shery {khamosh}*~

            Milti thi kbi wo mujy pal pal k farq se,

            Phr rafta rafta farq ye salon pe aa gya,

            Phr yun huwa k ankh se aansu nikl pary,

            Chehra kbi jo uska khyalon mein aa gaya.



            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • #51
              Re: ~*shery {khamosh}*~

              Har khof se Mujhe nijat diLa do,

              Kbi juda na hone ka yaQeen diLa do,

              Tjy khonay ka ehsas jo DiL me basa hai,

              Kuch es tarha se chaho K hr weham mita do....



              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • #52
                Re: ~*shery {khamosh}*~

                ...."AGAR TUM PASS HOTI"....

                Karam ki inteha Hoti.

                Tumhain Palkon pe Rakhtay.

                Tumhen dil main Basatay.

                Agar tum ruuth jati.

                Tumhen kitna manatay.

                Tumhari laghzashon ko bd
                hansi main hum urra datey.

                Agar apni khata hoti.

                Tu khud ko hi saza detay.

                Magar

                yeh sab jabhi hota!..

                "AGAR TUM PASS HOTI"



                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • #53
                  Re: ~*shery {khamosh}*~

                  DIL-E-NADDAN tau mohabbat ki sada daita hai...
                  Jisay chaho tau wohi shakhs dagha daita hai...

                  Phir main us say kyun mohabbat ki tawaqqo rakhun...
                  Jo har baat raqebon ko bata daita hai...

                  Tum agar bewafa ho tau kya gham....
                  Dil-e-naadan tujhe or jeene ki dua daita hai....

                  Tum samjhty ho kay har shakhs na-samajh hai....
                  Waqt ustaad hai har baat sikha daita hai....

                  Tum agar zakham pe chirko ge namak...
                  Waqt marham hai har cheez bhula deta hai....



                  ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • #54
                    Re: ~*shery {khamosh}*~




                    ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • #55
                      Re: ~*shery {khamosh}*~

                      Dard_e_bewafai ka gila nhi krte,

                      Muqdar my jo na hon vo mila nhi krte,

                      Mat dekh kisi ko nigah_e_hsrat sy FARAZ,

                      Wafadar kisi ki nazro sy gira nhi krte...



                      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~..
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • #56
                        Re: ~*shery {khamosh}*~

                        Bikhri hai kuch iss tarha mohabat ussay kehna,
                        Aankhon mein utar Aae hai wehshat usay kehna,

                        Kehna K teray baad say G lagta nahi hai,
                        Bay-chain C rahti hai tabiyat usay khena,

                        Ashkon se wazu kr k yeh khamosh ankhein,
                        Karti hain teri roz ibadat usay khena,

                        Yeh soch k tum badnaam na ho jao kisi din,
                        Karli hai terey shaher se hijrat ussy khena,

                        Mehki hai phir mere aangan mein raat ki raani,
                        Jaagi hai tery qurb ki hasrat ussay khena...



                        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • #57
                          Re: ~*shery {khamosh}*~

                          Thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "Mohsin"...

                          Magar khayalon se koi jaye to neend aaye...



                          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • #58
                            Re: ~*shery {khamosh}*~

                            Hasen is rat se nkly to bikr jaen ge,
                            Hm teri zat se nkly to bikhr jaen ge

                            Boht adt hy s dil ko tmhary 7 chlny ki
                            Ye hat hat se nikly to bikr jaen ge

                            1 mudt se teri khani ka unwan rhy hy
                            Ab s rwayt se nkly to bikr jaen ge

                            Hmy dn rat socho tm,bs itni c khwahsh hy
                            Tere khyalat se nkly to bikhr jaen ge



                            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • #59
                              Re: ~*shery {khamosh}*~

                              Kaun kehta hai k khamoshiya b kamosh hoti hai?

                              Are khamoshiyo ko bhi khamoshi se suniye,

                              Kya pata khamoshiya woh keh de,

                              Jinki aapko lafzo mein talash hoti hai...



                              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • #60
                                Re: ~*shery {khamosh}*~

                                ..."Aaj baarish mujhe udaas kar gayi"...

                                Uski hawa saari khushi le gayi,
                                Aaj baarish mujhe udaas kar gayi,
                                Ke pata nahi mera dil dukha gayi,

                                Laga aise jaise roya ho,
                                Aasman meri tarah,
                                Nahi samajh mein aaya hua kya,

                                Bus meri aankh nam kar gayi,
                                Mera dil tadpa gayi,
                                Aaj baarish mujhe udaas kar gayi,

                                Aaj baarish ko chhua bhi nahi phir bhi,
                                Mujhe yaado se bheego gayi,
                                Aaj baarish mujhe udaas kar gayi,

                                Kar gayi mujhe gum sum,
                                Ke mausam aisa nahi malum,

                                Kahi na kahi ho tum par,
                                Nahi the kahi tum,
                                Yeh baat udaas kar gayi,

                                ..."Aaj baarish mujhe udaas kar gayi"...



                                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X